Old Bollywood Shayari very popular for status , qutoes
Old Bollywood Shayari very popular for status , quotes
Old Bollywood Shayari |
Teri Aankhon Ki Namkeen Mastiyan
Teri Hansi Ki Be Parwaah Gustakhiyan
Teri Zulfon Ki Lehrati Angdaiyaan
Nahi Bhoolunga Main
Jab Tak Hai Jaan, Jab Tak Hai Jaan
Tera Haath Se Haath Chhodna
Tera Saayon Ka Rukh Modna
Tera Palat Ke Phir Na Dekhna
Nahin Maaf Karoonga Mein,
Jab Tak Hai Jaan, Jab Tak Hai Jaan
Tere Dil Mein Meri Saanson Ko Panah Mil Jaaye
Tere Ishq Mein Meri Jaan Fanaa Ho Jaaye.
Adhoori Saans Thi Dhadkan Adhoori Thi Adhoore Hum,
Magar Ab Chaand Poora Hain
Falak Pe Aur Ab Poore Hain Ham.
Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhein Sujane De,
Baaho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De,
Hai Jo Seene Mein Qaid Dariya Wo Chhoot Jayega,
Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jaaega.
Kaate Nahin KatTe Lamhe Intezaar Ke,
Najrein Bichhaye Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke,
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husn-e-Yaar Ke,
Laya Hai Unhein Kaun Falak Se Utaar Ke.
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain,
Tum Hoti Toh Kaisa Hota,
Tum Ye Kaheti,
Tum Wo Kaheti,
Tum Iss Baat Pe Hairaan Hoti,
Tum Us Baat Pe Kitani Hansti,
Tum Hoti Toh Aisa Hota,
Tum Hoti Toh Waisa Hota,
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain...
Phool Khilte Hain Baharon Ka Samaa Hota Hai,
Aise Mausam Mein Hi Toh Pyaar Jawaan Hota Hai.
Dil Ki Baaton Ko Hothon Se Nahi Kehte,
Yeh Fasaana Toh Nigaahon Se Bayaan Hota Hai.
Ek Pal Mein Jo Aakar Gujar Jaaye,
Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai Aur Kuchh Nahi,
Pyar Kahti Hai Duniya Jise,
Ek Rangeen Dhokha Hai Aur Kuch Nahi.
Garmi-e-Hasrat-e-Nakaam Se Jal Jaate Hai,
Hum Chiragon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hai,
Shama Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Ke Liye,
Hum Ussi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hai,
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath,
Jaane Kyun Log Mere Naam Se Jal Jaate Hai.
Ab Toh Bus Dhadkano Ka Lihaaz Karte Hai,
Kya Kahein Inn Duniya Waalo Ko Jo,
Aakhri Saans Par Bhi Aitraaz Karte Hai.
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,
Ke Zindgi Tumhare Zulfo Ki
Narm Chhanv Mein Gujarne Paati,
Toh Shadab Ho Bhi Sakti Thi...
Yeh Ranjo-Gham Ki Syaahi
Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Tere Nazar Ke Shuao Mein
Kho Bhi Sakti Thi...
Magar Ab Yeh Aalam Hai Ke Tu Nahi
Tera Gham Teri Justju Bhi Nahi,
Gujar Rahi Hai Kuchh Iss Tarah Se Zindgi Jaise
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarjoo Bhi Nahi.
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aataa Hai,
Ki Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaaon Mein,
Guzarne Paati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi,
Yeh Tiraagi Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Teri Nazar Ki Shuaon Mein Kho Bhi Sakti Thi.
0 Response to "Old Bollywood Shayari very popular for status , qutoes"
Post a Comment